27.6.11

2 - Poems in Roman

AJNABI AA'O


Ajnabi aa'o!
dekho, umangon ki naokhez kalyan
jo murjha rahi hain,
tumharay liay waqt,chanchal parinda
meray saans pathar talay dabb rahay hain
meri umr kuchh katt chuki hai
jo baqi hai-ik karb mein katt rahi hai
agar ajnabi tumm na aa'o---
to peghaam bhejo
agar ko'ei chanchal parinda milay
waqt ka
uss ki gardan mein bandho
ko'ei sabz kaghaz
ko'ei sabz kaghaz ke jiss parr likho
apnay hathon
anokhi,purasrar,sabb ranng tehreer
phir woh parinda-meri samt bhejo
to phir ajnabi! woh parida
agar ho sakay to
meray saans pathar talay say nikalay
mera karb chakhay
woh kaghaz, tumhari purasrar,sabb ranng
tehreer wala,
ko'ei sabz taweez karr kay
meri sooni gardan mein dalay!



SIDHARTH


Abb uss ka ghamm
dill mein meray bettha hai
yoon aalti paalti maray huway
jaisay gyan mein ho
kisi dhyan mein ho
labb bheenchay aur aankhein meechay
hai gumm summ

main hairan hairan
aankhein kholay,dekhti hoon
aur soachti hoon
''pall bharr ko yeh
garr meri taraf
dekhay to main yeh arz karoon
keh tujh jaisay gyani kay liay
yeh jagha kuchh aisi ttheek nahin,
yahan sabza hai
yahan paani hai
yahan saya hai
parr yahin kahin
dunya ka loabh jo basta hai!''




LAMS ZINDA RAHAY


Jotshi nay kaha''
teray maqsoom mein ik muhabbat hay
aisi muhabbat
azal say abad takk ki,sabb
chahton ka jo hasil hai,
ishq ki rooh bhi
jiss mein jiss mein jari-o-sarihai
[ik wehshiyana tarap aur kasak]
aur ulfat ki dheemi,mehekti howi
aanch bhi jiss ka hissa hai
teri qismqt mein aisi muhabbat hai
jo lams say mawra
wasl ki khwahishon say juda hai
dahnay hath ki aik rekha batati hai,
tujh ko mehboob kay wasl say
kuchh ta'aaluq nahin
uss ki chahat faqat uss ki chahat
tera muntaha-e-nazar ho
to behtar rahay ga''
meray dill say ik aah nikli,
magar uss muhabbat say kya faeyda?
main bhi jalti rahoon
woh bhi jalta rahay,
abb to mehboob ko devta jaan karr
ya khuda maan karr
poojnay ki kahani-fasana huwi
abb haqeeqat jo hai woh faqat wasl hai
uss ki aur meri hasti ka shahid
faqat lams hai!
meray maqsoom mein peyar hai to
meray hath mein ay Khuda!
wasl qayam rahay!!
lams zinda rahay!!!




RAAT AUR INTAZAAR


Raat bharr girti rahi
ashk ki soorat shabnam
raat bharr chalti rahi
bheegi huei sard hawa
narm podoan mein guzarti huwi
madham madham,
raat bharr chand sulagta raha
holay holay
chandni roti rahi
meray dareechay say paray
raat bharr raqs mein masroof thay
khushboo kay qadam
raat bharr main,
meri maghmoom nigahein,
meri yaas,
teray aanay ki sarr-e-shaam lagi thi
jo mujhay
wohi damm torti aas,
dill mein mehka huwa ghamm
aur yeh palkein pur namm,
meri maghmoom nigahein bekhwab
raat bharr jaltay rahay
apnay hi shoalon mein gulab!!





KHULI HUWI KHIRKIYON SAY IK SHAAM


Khuli huwi khikiyon say ik shaam jhankti hai
ajeeb aalam hai
zindagi meri bheegti putliyon mein jesay
dharak rahi hai,
tumhari yaadon kay sa'ay sa'ay
dhundalka paeron ki chotiyon parr
utar raha hai
shafaq khamoshi say phail karr
door takk bikhartay haseen manzar kay
canvas parr
hazar ranngon pay
ik gulabi chirak rahi hai
main tumm say kitni hi door hoon
parr tumhari qurbat ki taez hiddat say
jall rahi hoon
main saray manzar say bhi alag hoon
magar shafaq say
wujood gulnaar ho raha hai
khuli huwi khirkiyon say
ik shaam jhankti hai!





MAAH GAZEEDA


Harr shab-e-firaq mein,yeh chand
badlon ki aoat say
ho mujh pay taana zann
main munh chupa'on
iss say munh chupa'on
taaray khilkhila kay hanns parein
yeh chand kay paroas mein hain
mera raaz jantay na hon
hawa chalay to muskuray
jaisay chand nay isay bhi meri sabb
ketha suna'ei ho
kabhi khujoor kay buland paer ki
phunang say tiktiki laga'ay dekhta rahay
kabhi yeh baam say takay
main jheenp ja'on,
mann mein aag si lagay
main kya karoon shab-e-firaq!
mairay wastay,mujhay jalanay ko,buhat hai too
main teray zehr say bachoon ke chand kay?
shab-e-firaq! too bata
yeh chand meray tann ko ki'on dasay?
main kya ji'oon gi subh takk
mera badan to iss kay zehr say
sunehra ho gaya!





PIYA BAAJ PYALA PIYA JA'AY NA


Mujhay aisi doori ki aadat nahin thi
ke jo zindgi ki ragon say
jawan khoon ki
aakhri boond takk khainch lay,
jism ka khaet banjar karay,
iss li'ay jabb say too
uss safar parr gaya
main nay aaiyna dekha nahin,
saari dunya say
aur aasman takk say parda kiya,
main nay sardi mein dhoop
aur garmi mein sa'ay ki parwa na ki,
zindgi ko na samjha kabhi zindgi,
aad'tann saans li!
bhook to marr ga'ei thi
juda'ei ki pehli hi sa'att mein
lekin abhi pyaas baaqi hai
aur aisi zalim, ke meray badan parr
babool ugg rahay hain,
zuban parr bhi kantay paray hain,
mujhay aisi doori ki aadat nahin hai
ke jo mot aur zindgi mein
ko'ei farq rehnay na day
phirr bhi yeh jaan lay---
garr mujhay chashma e aab e hewan
bhi mill ja'ay--- ikk boond
teray bina, mujh pe ja'yez nahin!





TERAY GHAMM KA JAMAL


Aik khushboo si ko'ei
teray shabistan say chali aati hai,
roshni bann kay---
kabhi moj-e-hawa ki soorat,

yeh gumaan hota hai
phela hai meray jism pay
neendon ki tarah---tera khayal,
phool khiltay hain
meray khwab say bahar bhi kahin

dill say aankhon talak aata hai
teray ghamm ka jamal




SAFAR


Main siyah raat kay safar parr hoon
aik qendeel yaad-e-janan ki
hath mein hai,magar hawa hai taez
main to ik baat kay safar parr hoon
jo kisi kunnj-e-labb say phooti thi
aur meri tamam umr ko--- aik
dasht-e-pur khaar mein dhakael ga'ei
saari subhein,usi kay naam huein
saari fathein,usi kay naam huein
main,faqat maat kay safar parr hoon
main to ik baat kay safar parr hoon!




AASMAN! KABB AA'O GAY?


Aasman!
main tumharay ishq mein faqeer hoon
magar tumhari wus'aton kay samnay
haqeer hoon,
tumm aa'o gay
ke main uraan karr kay aa'oon
badlon ko cheer karr?
main kaisay aa'oon
kaisay toar doon tilism-e-khak ko
ke jiss ki main aseer hoon?
ke aik musht-e-khak ki
reha'ei---khakdan say
ik khayal hai,mahal hai,
magar yeh ishq bhi
jahan kay wastay misal hai
isi liay tumm aa'o gay!
main aab deeda,ghamm gazeeda,
muntazir hoon
Aasman! kabb utar kay
meray dill mein aa'o gay?




SAZA


Ja'o!
nafrat karnay walon kay chehron ko dekho,
unn ki aankhein,dozakh kay darwazay hain
aur teh khanon mein jalti aag say
unn kay dilon ki deewarein kaali hain,
unn chehron ko dekho
jin kay daant,dahan say bahar
jhanktay rehtay hain
aur baat karein to munh say unn kay
kaff behta hai,
jin ka samna sacha'ei say
namumkin hai,
jo phoolon ko rond karr aagay
barhh jatay hain,
jin kay roshann daan pay kabhi parinday
baith kay geet nahin gaatay,
jin kay aangan mein ja karr
dhoop aur barishein iffat kho deti hain,
jin ki zubanein,khush lafzon say
nawaqif hain,
jin kay harf
kisi achhay ki sama'at say takra karr
pathar bann jatay hain
woh,jo logon ki khushyon ki mot pay
khushi manatay hain,
sa'el parr kutay chhortay hain,
aur apnay darwazon parr
kalay peelay ranng say
khoapriyan banwatay hain,
ja'o! aur unn chehron ko dekho
aaj say tumm
unn mein shamil ho!




ABB MERA PYAAS PAYALA


Kaisa pyaas payala lay karr
amret kay ik ghoont ki khatir
ghoomtay phirtay---
meri raah mein aa jatay ho,
meray khali pann ko daekh kay
hanns partay ho,
dhoop say thoara chandann lay karr
apnay hoton say chhoo karr
meri aankhon mein rakhkh detay ho
raat kay mann say kalak lay karr
tumm apni aankhon say laga karr
meray khwab mein dharr detay ho,
apnay dill ki betabi ko
kuchh lafzon say-kuchh baton say
meray dill mein bharr detay ho,
tumm barish ka meetha paani
khud chakhtay ho---
aur apna woh pyaas payala,baaqi umr ko
meray hath thuma jatay ho!




WOH SHAAM ZARA SI GEHRI THI


In hijr zada aur ranjeeda
aankhon say zara neechay jhukk karr
teri yaad mein bheegay rukhsaron kay
zard kinaron parr aa karr
ghabra'ei huei si utri thi
aur thori daer ko thehri thi
abb yaad nahin,teri aankhon mein
ko'ei khwab tha-koei sitara tha
teray honton ki unn qoson parr
ko'ei lafz tha -ko'ei ishara tha
kya shaam kay rastay parr rukk karr
teray dill nay mujhay pukara tha?
bass yaad hai itna,jabb dill nay
iss umr ki hadd say kuchh peechhay
ik baar palat karr dekha tha---
raston pay khilay sabb phoolon parr
ik abr ka saya jhukta tha
aur shaam zara si gehri thi!




KHWAB MUSAFIR


Khwab musafir!
kis manzil ki khwahish mein tumm
chupp nazron say, rasta rasta,
meray peechhay bhagtay ho
tumm soatay ho ya jaagtay ho?
kaisay haray haray lafzon ka
gehra jaal buna hai tumm nay,
jiss mein meri chahat ka
nao ranng parinda phansna hai
aur ummidon ki deewar say
meray dill mein jhankna hai
apnay khwab ki manzil takk janay kay liay
tumm meri khwahish kay pull parr
chalna chaho---yeh namumkin hai
main to khud, khwab aur khahish kay
beechon beech---
atakti hoon aur roati hoon,
janay kitnay hi janamon say---
aadhi neendein soati hoon!




YEH HAIRAT GAAH-E-DUNYA HAI


Yeh hairat gaah-e-dunya hai
basar matt khwab mein karna
musalsal jagtay rehna,
agar iss jaa pay rehna hai
yeh mumkin hai ke bass ik aan mein
manzar badal ja'ay
nazar ka zikr kya,mehboob ka
paikar badal ja'ay
yeh mumkin hai kisi kha'ei pay hi
yakk lakht rasta khatm ho ja'ay
kabhi darya pay puhncho
aur kinara khatm ho ja'ay
yeh mumkin hai kabhi dekho
inhien qadmon main bethay kuchh
sarapa naaz logon ko
kabhi dekho qaba-e-dosti mein
sabb zamana saaz logon ko
thi jin say harf-e-khush ki aas
unn honton pay taana ho,
woh jin mein phool mumkin thay
unein hathon mein dashna ho,
buhat hushyar rehna hai
yeh hairat gahh-e-dunya hai!





AASHOAB


Kya aah bharay koei
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuchh oonchi

Kya nazm likhay koei
Jabb khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada'ei ka
Sha'er ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jabb shaer utarnay say
Badal say zara oopar
Taron say zara neechay

Kya khaak likhay koei
Jabb khaak kay medan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth'ta
Jabb shakh pay imkan ki
Iss dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahwar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Ik neelay sitaray say

Jabb dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata

Basti mein koei aurat
Raton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soei huwi qismat par
Jabb koei bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabin apni
Ik shakhs nahin roata

Jabb neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain

Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do k na abb nangay
Paa'on say chalein ghar mein
Iss farsh pay matti kay
Abb ghaas nahin ugti
Abb saanp nikaltay hain
Deewar say aur darr say

Abb noor ki boondon say
Mehki howi matti mein
Anmoal ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Abb jheel kanaray parr
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koei aurat
Ratoan ko nahin soati
Aur jagnay walon say
Bbb nazm nahin hoti

Kya nazm likhay koei
Jabb jagnay,soanay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jabb baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuchh farq na reh jaey
Kya baat karay koei !




NIRWAN


Khuda nay meray dill pay jabb haath rakha_bataya,
''har ik cheez ghamm hai
hayat aik na mukhtamam rannj ka silsila hai
yahan khwahish-e-zarr ka
naam aawri ki tamanna ka hasil
muhabbat ka,nafrat ka,anjaam alam hai''

Khuda nay meray dill pay jabb hath rakha_bataya
''har ik shai guzar janay wali hai
phall,phool,sabza,samandar,pahar aur medaan
bahar-o-khizan,abr-o-baran,zamistan
har ik jan daar aur bejan
makan,la makan_sabb dhuwan
sabb guman hai''

Khuda nay meray dill pay jabb hath rakha_bataya
''har ik shai adam hai
yeh shams-o-qamar-kehkashan-o-najoom
aur shaam-o-sahar aur mah-o-saal aur waqt
har shai ka anjaam_aakhir fana hai
zaminon zamanon say aagay_khla hai
har ik cheez zinda_magar har har qadam
mot ki ham qadam hai!

''jo har shai adam hai
to kis baat ka tujh ko gham hai?
jo har shai guzar janay wali hai_aakhir adam hai
to phir kaisa gham hai
k jeenay mein bhi mot dekhi
jo rahat mein gham ka maza too nay chakha?''
Khuda nay yeh poocha
jab us nay meray aablay jaisay
dukhtay huway dill pay
mojiz numa hath rakha!




ISHQ


Ik sada-e-khwab
Nadeeda jahanon say guzar kr aa rahi hai,
Dhoop jesi chandni
Kali zaminon kay badan chamka rahi hai,
Fasl-e-gul aanay say pehlay,koi khushboo
Sb zmanon kay muqaddas perahan chamka rahi hai,
Aag jesi koi heratnaak shai
Dil kay nihan khanon mein jalti ja rahi hai



POORAY CHAND KI RAAT


Aankh talak utri aati hai
pooray chand ki raat
Jeewan ki lambi rahon parr
saya sa ik sath
Honton parr aisi hi lali,
mathay parr aisay hi sitaray
Mang mein jagmag jagmag afshan
aur chunri mein jugnoo saray
Palkon kay pichhay ik sapna
aur sapnay mein nain tumharay
Yaad aai hai aaj mujhay
ik pichlay janam ki baat
Bhool gai ab---hath say kaisay
choota tha woh hath!




SURKH AUR NEELAY PHOOL


Aik jhurjhuri lay kar
jagti thi betabi
raat ka andhera jab
boond boond girta tha
dil ko choonay lagtay thay
teray reshmin alfaz
khwab chshm-e-heran ko
jhuk kay choom leta tha
raat bheeg jati thi
barishon ki khushboo mein
teray garm honton say
soam rass tapakta tha
surkh aur neelay phool
iss badan pay khiltay thay
subh kay kinaray par,
donon waqt miltay thay




KUCH TO THA,JIS KI KHABAR DIL KO NAHIN HO PA'EI


Neend mein toot gya bantay huway khwab ka kanch,
Ik ta'aluq jo kisi aur kay dil nay chaha,
koei dr bnd huwa yaad kay aywanon mein,
Bagh-e-imrooz mein khil paei nahin koi kali,
Aasmanon mein kahin zard sitara toota,
Paas say ho kay gya narm hawa ka jhonka,
Rasta bhool gaei door say aati aawaz,
Aik aahat thi jo kuch dair talak saath chali,
Ya kisi shakhs nay honton mein daba li siski,
Kuch to tha,jis ki khabar dil ko nahin ho paei!




KUCH TO HAI,JIS KA ASAR DIL PAY HUA JATA HAI


Raat ko dekha huwa,bhoola hua khwab koei,
Yaad-e-mazi say umadta huwa ik moja-e-sard,
Aik aasaib zda band makan ki khushboo,
Raat kay baghchay say raat ki rani ki mehek,
Aasmanon say kisi taza sitaray ki chamak,
Shehr-e-nadeeda say aati huwi betaab hawa,
Door say doash-e-hawa par koi sur bansuri ka,
Ajnabi qadmon ki,rastay pay dharakti aahat,
Ya kisi chahnay walay ko lagi hai hichki,
Kuch to hai, jis ka asar dil pay hua jata hai!




AANKHEIN JO KHULIEN TO


Abb yaad nahien ke shehr e jan mein
Woh kaisi ajab hawa chali thi
Jo mujh ko meri hi zindgi say
Uss samt ura kay lay ga'ei thi

Pao'on kay talay thi dhund goya
Aur sarr pe sunehri chandni thi
Aankhon mein ajeeb si thi thandak
Chehray pe gulaab ki nami thi
Kuchh door sitaar bajj raha tha
Ya wajd mein ko'ei bansuri thi

Aahista say mera naam lay karr
Ik shakhs nay ko'ei baat ki thi
Aankhein jo khulien to main nay dekha
Main koocha e ishq mein khari thi


~~~

No comments:

Post a Comment